ye sabzah’mand-e-chaman hai jo lah’lahaa na sake

ye sabzah’mand-e-chaman hai jo lah’lahaa na sake
wo gul hai zakhm-e-baharaan jo muskuraa na sake

ye aadmee hai vo parvaana, samm-e-daanistaa
jo raushnee mein rahe, raushnee ko paa na sake

ye hai khuloos-e-muhabbat ke haadisaat-e-jahaan
mujhe to kyaa, mere naqsh-e-qadam mitaa na sake

na jaane aaKhir in aansoon pe kyaa guzree
jo dil se aankh tak aaye, magar bahaa na sake

kareinge mar ke baqaa-e-dawaam kyaa haasil
jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake



Comments

Popular Posts